Sunday, 15 March 2015

 Wo baat likhni hai ...
Kahani se jo pare ho wo baat likhni h
mehez baat nahi
alfaaz nahi
ehsaas likhna hai

wo jo dhalte din ka andhera hai
us ghani raat ki
jhuti aukat likhni h

jo kahin kho si gyi roshni h
us masoom ki hasi ki
jazbaat likhne h

naa jaane kya chupaa h is samandar m
wo ruke hue moti ki
shayad koi baat likhni h

dil mein jo reh gyi hai ....
wo hi bas
bas wo hi baat likhni h :)


No comments:

Post a Comment